Uski Har "Ada" pe hum apni jaan lutate rahe

Uski Har "Ada" pe hum apni jaan lutate rahe,
Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe,
Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka,
woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe

apni muskurahaton ko uski hansi me milate rahe,
uske har gam ko apni aankhon se bahate rahe,
dete rahe usko khushiyaan do jahan ki,
bas apne hissay har gam likhwate rahe

udake neend apni aankhon se uske khwaab sajate rahe,
khoke chain din ka usay qarar pahuchate rahe,
nibhate nibhate mohhobbat jab maan liya usay apna,
bas usi pal se woh har lamha hame thukraate rahe

Uski mohobbat me ham apni abroo lutate rahe
jhukte rahe ham aur woh hame aur jhukate rahe,
Sar-e-baazar banake tamasha meri mohobbat ka,
Woh duniya bhar ke saath chok pe muskuraate rahe.....

Comments

Unknown said…
kya bat hai bhaiya!!!!
your hindi vocab is too good n you use it really brilliantly. I liked the whole expression of poem!!!!!
Unknown said…
बहोतही अछ्छी नजम
सपना
Anonymous said…
really nice

Popular posts from this blog

जब वो "उफ़" कहा करती है.

Ghajni Shayri Re-Created

Shayad Isi Ka Naam Toh Pyaar Hai....