Tumko dekha toh yeh khayaal aaya..

Aaj na jane kyun mere zehen me ek khayaal aaya,
Apni shaqsiyaat se juda ek sawal aaya,

Kya khoya hai maine aur is zindagi se kya paaya,
Main hun koi shaqs mukaammal ya hun kisi ka sarmaya,

Chandni raat me kabhi jugnu sa hun jagmagaya,
Kabhi din ki roshni me jaise koi andhera saaya,

Kisi ki mohobbat ke saaye me zindagi ka ilm paaya,
Kisi ke ishq ne mujhe mukammal insaan banaya

Safar-e-ishq me phir ek mod aisa aaya,
Zindagi ke halataon ne kisi ko bewafa banaya,

Fanah huyi muskurahat aur aaunsuon ka sailaab aaya,
Sailaab ne mohobbat ke aashiyane ka wajood mitaya

Toofan ke baad zindagi ne phir apni raftaar ko paaya,
Waqt ke marham se mohobbat ka zakhm bhar aaya

Kisi ki bewafai ka ehsaas aaj phir mujhe yaad aaya,
Tumko dekha toh yeh khayaal aaya..

Comments

Popular posts from this blog

Shayad Isi Ka Naam Toh Pyaar Hai....

Uski Har "Ada" pe hum apni jaan lutate rahe

जब वो "उफ़" कहा करती है.