Posts

Missing You Papa

Thaam ke apki ungli ek kadam bhi chal na paya, Apne bachpan ka ek bhi pal main jee na paya, Bahut chaha ke dekhu apko jee bhar ke, Par deewar pe lagi tasveer ke pare jaa paya Roke ke aansu apne main bahut muskuraya par maa ki aankhon ka soonapan mita na paya, Koshish toh kari bahut par tarasti mere bhai ki aankhon ko sukun na de paya, Ladte ladte akele ek arsa guzar gaya, Zindagi ki imtehan main asafal ho gaya, Laut aaiye jahan bhi hain aap, Papa apka yeh beta bhi ab  thak gaya Ab do pal apke saath bitana chahta hu, Kholke dil apna apko dikhana chahta hu, Lagke gale apke main jee bhar ke rona chahta hu, Apki god main rakhke sir do pal sukun se jeena chahta hu.....

Intezaar Kiye Jaa Rahe Hain...

Dekh tere intezaar main kya se kya huye jaa rahe hain, Diye ki lau ki tarah dagmaga rahe hain, Thaam le apne hatheliyon ke beech main, Ham toh har pal tere intezaar main fanaa huye jaa rahe hain, Bahut muddat se saansein liye jaa rahe hain, Tere ishq ke mushq main khoye khoye se jaa rahe hain, Samet le is khushbu ko apne aanchal main, Har toh har pal tere intezaar main hawaon main ghule jaa rahe hain, Girte hain aur gir ke sambhle jaa rahe hain, Tujhe tak pahuchne ki raah main chale jaa rahe hain, Tham le haath mera apne haathon main, Aye hamsafar tere saang zindagi-e-safar jeene ko mare jaa rahe hain..... Lost Poet...

Main Fanna Hona Chahta Hu...

Bheed Main Raha Bahut Ab Tanha Rehna Chahta Hu, Sath Diya Kitno Ka Ab Khudko Paana Chahta Hu, Chala Hu Sambhala Jabse Hosh Ab Thamnaa Chahta Hu, Bahut Muddat Jiya zindagi Sharafat Ki Ab Aawara Hona Chahta Hu, Khwabon ko sajake soya bahut ab har khwab todna chahta hu, Beinteha khushiyon ke baad gam ko jeena chahta hu, Mohobbat chahi thi kabhi ab nafraton se rishta karna chahta hu, Hawao main ghuli khushbu ke baad saanson main zeher ka uns chahta hu Kabhi tha muskurahaton ka daur ab aasuon ki mehfil chahta hu, Mohobbat ke daavon ke baad bewafai ka waada chahta hu, Zindagi teri har jeet ke baad maut ko paana chahta hu Mohobbat Hai Zindagi Mujhe Yeh Samjhane Wale Bas ab teri bahon main fanaa hona chahta hu... Main fanaa hona chahta hu.... Nalin The Lost Poet

Uski Har "Ada" pe hum apni jaan lutate rahe

Uski Har "Ada" pe hum apni jaan lutate rahe, Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe, Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka, woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe apni muskurahaton ko uski hansi me milate rahe, uske har gam ko apni aankhon se bahate rahe, dete rahe usko khushiyaan do jahan ki, bas apne hissay har gam likhwate rahe udake neend apni aankhon se uske khwaab sajate rahe, khoke chain din ka usay qarar pahuchate rahe, nibhate nibhate mohhobbat jab maan liya usay apna, bas usi pal se woh har lamha hame thukraate rahe Uski mohobbat me ham apni abroo lutate rahe jhukte rahe ham aur woh hame aur jhukate rahe, Sar-e-baazar banake tamasha meri mohobbat ka, Woh duniya bhar ke saath chok pe muskuraate rahe.....

Tumko dekha toh yeh khayaal aaya..

Aaj na jane kyun mere zehen me ek khayaal aaya, Apni shaqsiyaat se juda ek sawal aaya, Kya khoya hai maine aur is zindagi se kya paaya, Main hun koi shaqs mukaammal ya hun kisi ka sarmaya, Chandni raat me kabhi jugnu sa hun jagmagaya, Kabhi din ki roshni me jaise koi andhera saaya, Kisi ki mohobbat ke saaye me zindagi ka ilm paaya, Kisi ke ishq ne mujhe mukammal insaan banaya Safar-e-ishq me phir ek mod aisa aaya, Zindagi ke halataon ne kisi ko bewafa banaya, Fanah huyi muskurahat aur aaunsuon ka sailaab aaya, Sailaab ne mohobbat ke aashiyane ka wajood mitaya Toofan ke baad zindagi ne phir apni raftaar ko paaya, Waqt ke marham se mohobbat ka zakhm bhar aaya Kisi ki bewafai ka ehsaas aaj phir mujhe yaad aaya, Tumko dekha toh yeh khayaal aaya..

Shayad Isi Ka Naam Toh Pyaar Hai....

किसी के इंतजार में ही दिल का करार है, किसी की बस एक झलक में ही सारा संसार है, किसी की एक मुस्कराहट से खुशियाँ हज़ार है. शायद इसी का नाम तोह प्यार है किसी की खामोशी में बातें हज़ार है, किसी की झुकी पलकों में हया बेशुमार है, किसी का ज़िक्र दिल सुनना चाहे बार बार है, शायद इसी का नाम तोः प्यार है, किसी की शरारत से दिल को करार है, किसी की एक छुअन से सिरहन बेशुमार है, शायद इसी का नाम तोः प्यार है, किसी की महक से दिल गुलज़ार है, किसी की हर बात पे ऐतबार है, किसी के लौट आने का 'नलिन' को इंतजार है, शायद इसी का नाम तोः प्यार है..... ROMAN HINDI VERSION OF THE POEM Kisi ke intezaar me hi dil ka qarar hai, Kisi ki bas ek jhalak me hi sara sansar hai, Kisi ki ek muskurahat se khushiyan hazar hai, Shayad Isi Ka Naam Toh Pyaar Hai Kisi ki khamoshi me baatein hazar hai, Kisi ki Jhuki palkon me haya beshumar hai. kisi ka zikr dil sunna chahe baar baar hai, Shayad isi ka naam toh pyaar hai, Kisi ki shararat se dil ko qarar hai, Kisi ki ek chhuan se sirhan beshumar hai Kisi ke dard me roye dil zar...

जब वो "उफ़" कहा करती है.

मुस्कुराये जब वो तोः सारी कायनात हंसा करती है, पड़े उसके कदम जहाँ वो जगह जन्नत हुआ करती है, दिल के सागर में एहसासों की एक लहर उठा करती है, मेरी बदमाशियों पे जब वो "उफ़" कहा करती है जो मुड़के देख ले बस एक नज़र तोः ज़िन्दगी थमा करती है, उसके हर कदम की आहट पे ऋतुएं बदला करती है, मेरे बिखरे से लफ्जों की ग़ज़ल बना करती है, सुनके मेरे काफिये जब वो "उफ़" कहा करती है, जब भी मिल जाए वो तोः खुशियाँ इनायत करती है, अपनी प्यारी बातों से मन को छुआ करती है, मेरी ज़िन्दगी की रहगुज़र को मंजिल मिला करती है, सुनके मेरी दास्तान-ए-ज़िन्दगी जब वो "उफ़" कहा करती है, खुदा ही जाने यह कैसी जुस्तुजू साथ मेरे हुआ करती है, जितना रहता हूँ दूर उससे उतना ही वो मेरे करीब हुआ करती है, यह कैसी कशिश उसके लफ्जों में हुआ करती है, ज़िन्दगी से होती है मोहोब्बत जब वो "उफ़" कहा करती है. नलिन